रविवार, 9 दिसंबर 2007

Bura sono, bura bolo, bura kaho, aur maje karo


Aisha kyoan hotaa hai ki jo kurha apney ghar main bura lagta hai ushe parausi ki taraf dal deney yaa sarak par daal deney se kurha-kurha nahin lagta. Doosrey ki jar, joru, jameen ko aadami lolup drishti se kyoan dekhta hai? Doosre ka scooter mang kar ushka petrol poori tarah samaapt karne ko apnaa janm siddh adhikaar kyoan samajhta hai. Doosre ka rupaiya udhaar lekar wapas karne main bura kyoan lagta hai? Udhar wapas mangney par, udhar lene wala naraj kyoan hota hai? Doosre ka makan hathiyane main sekhi kyoan bagharta hai? Jab doosra koi apka makaan hathiuyata hain to doosre ko kyoan kosta hai? Doosrey ke ghar main kalah, jhagrah, jhanjhat honey se prasanna hokar apne kjo buddhiman kyoanb samnajhta hai? Doosre ka makaan banta dekh, pasauri ke pet main dard kyoan hota hai? Apne saman ki chori na honey or doosrey ka saman chori ho jaaney par santosh ka anubhaw kyoan karta hai? Apne kichen garden se phool torney key bajay doosrey ke bagichey se phool torney main kyoan khush hota hai? Jab koi akhbar parh raha hotaa hai to akhbar main jhank kar kyoan parhta hai? Jab khud akhbar parta hai to doosarey ka jhankana bura kyoan lagta hai? Doosrey ki dukan ke aagey gari kyoan khari kar khush hota hai. Jab koi doosra aapki dukan par garhi khari kar deyta hai to gussa kyoan karta hai? Chatkarey laykar doosroan ki burai karma kyoan achha lagta hai. Par apni burai se bhaybheet kyoan rahta hai. Khud ko imandar or doosroan ko beyman kyoan samajhta hai. Khud ki dukh se kam dukhi par doosroan ki sukh se bahoot dukhi kyoan hota hai. Kar main baithkar, paidalchiyoan ko hikarat ki nazar se kyoan dekhta hai. Or jab khud paidalchi ho to kar waloan ko gali kyoan deta hai, tatha garhi ka horan sun kar kyoan naraz hota hai. Anushashan heenta main kyoan khush rahta hai. Par doosre ko anushsashan ka path parata hai, Kyoan. Such toa yah hai ki yadi hum in baatoan ka khyal rakhain toa kai parayshaniyan khatam ho jayan aur bharat wastav main mahan ho jayey. Kya aap aisa kareyngay? Kya main aisa karanga ?

कोई टिप्पणी नहीं: